Aaj holika dahan hai or tumhe iski khabar hai
Kyo na bhula de hum tum sare gile sikve apne
Kyo na ek nai shuruaat kare hum naye rang me
Aao is holika dahan me jala de har shikayat
Wo shikayto bhare khat jala do
Wo har lafz har alfaaz jala do
Hum apne dil me fir se ek diya rakhe hai
Aao is dil me us diye ko jala kar roshan karo
Iski prakash me hum tum roshan rahe
Isme hum apne pyar ka tel bharte rahe
Is holika dahan me hum apni burai ko jala de
Apni achhai ko apna le use or nikhar le
Yahan koi bhi sampurn nahi hai na tum or na main
Kuch gun mujhme hai jo tumme nahi
Kuch gun tujhme hai jo mujhme nahi
Aao hum dono ek hokar ek duje ko sampurn kar de
Is holika dahan me khud ko ek kar le
Aao milkar kare udghosh ek nai subah ka
Ek nai raah ek nai disha ka
Aao milkar jashn manayae holi ka
Rang bhare ek duje ki zindagi me
Kuch fike rang kuch chatkile rang
Or khele hum tum ishq ki holi
Tu mujhe rand de main tujhe rang dun
Mera rom rom mera har ang ang rang de
Aao mil kar khele ishq ki holi
*****
Md Danish Ansari
*****
Md Danish Ansari
No comments:
Post a Comment