Kareeb kareeb rahte ho tum is tarah
Jaise dil ki dhadkan or saanse us tarah
Tujhse na to koi sharm hai or na haya
Is diwangi ki koi hadd ho to tu bata
Dekhti ho mujhe hasrato bhari nazro se
Kya kya chhupa rakha hai kuch to bata
In hasrato bhari nigahon pe daaw laga
Dil to kab ka haar chuka ab khud ko laga
Badi natkhat hai tu kahti kuch or hai
Or palat kar dekho to ishare kuch or hai
Janaab aap bhi to kuch kam nahi
Kahte rahe man bahlane ke liye likhte ho
or na jane kab humara dil hi lut liya
dhat pagli dil bhi koi lut lene ki chij hai
haaye tu kahe to ye dil kya tujhpe jaan lutaun
sach kahti hun
Kareeb kareeb rahte ho tum is tarah
Jaise dil ki dhadkan or saanse us tarah
ab to sapno me bhi tum hi tum ho
soye huye bhi hansti rahti hun
jab jhinjhord ke jaga diya mujhe ghar walo ne
Tab pata chala ab to bas main Teri hun
Tum na jara kareeb kareeb raha karo
Mujhse jyada to tum sharmate ho
Kya karun pahli pahli mohabbat hai or
Mujhse bada anaadi pure shahar me nahi hai
Isi liye darta hun pata nahi kab kaha kis baat pe
Tu bura maan jaye or mujhse dur ho jaye
Pagal hai tu ruthna or manana to humesha rahega
or Kabhi main ruth bhi jaun to tu mujhe mana lena
Kareeb kareeb rahte ho tum is tarah
Jaise dil ki dhadkan or saanse us tarah
*****
Md Danish Ansari
No comments:
Post a Comment