Jaha se wo gujre us gali ko mahka gaye
Jise bhi wo chhu le use bhi mahka gaye
kya itra se naha kar aayi hai wo is jahan me
yahi kahta hai har koi uska chahne wala
Barso se Qaid tha main khud khud ke andar
Mujhse mile or mujhe khud se aazad kara gaye
Uski har ek ek ada pe sab apna dil haare hai
Kaun bacha hai shahar me jo ab bhi baki hai
Uske deedar ko khade rahte hai chauk pe diwane
Jab gujarte hai to Nazar chura chura kar dekhte hai
Ye humse na hoga aye logo ke hum unhe bhula de
Mere to andar se bahar tak usi ki khushboo aati hai
Wo rach bas gayi hai mujhme kuch is tarah
Juda karna chahun to khud ko gawan baithun
Main to tera diwana hun tu qabool kar ya na kar
Tumhi se hum hai or Tumhi pe kahani khatm hai
Ye na soch ke kya kahenge ye duniya wale
Tu bas ek baar haan kah kar Aazma le mujhe
Main to bas ek tera diwana hun
Apne hi dhun me magn rahta hun
*****
Md Danish Ansari
No comments:
Post a Comment