Gauhar Jaan | The Musician & Dancer
Md Danish Ansari
June 26, 2018
0 Comments
Mera Aqsh - Gauhar Jaan |
Bharat ki pahli mahila recording super star Gauhar Jaan ke
145ve janmdin par google ne unhe sammanit karte huye yaad kiya hai tatha unka
Doodle bana kar post kiya hai ! 26 june 1893 ko janmi bhartiya sinema ki
mashhoor gayika ka asli naam Angelina yoward tha, wah bharat ki pahli gaayika
thi jinhone apne gaaye gaano ki bakayda recording karwai thi or yahi wajah hai ki unhe bharat ka pahla
recording super star ka darja mila hua hai !
13 saal ki umr me rape
Bhartiya sangeet ko shikhar par pahuchane wali Gauhar Jaan
asal zindagi me Shoshan ka shikaar hui thi ! 13 saal ki umr me unka balatkaar
hua tha , is sadme se ubharte huye Gauhar jaan ne apna Sikka sangeet ki duniya
me aajmaya or wah Kaamyaab bhi hui ! Asal me Gauhar Jaan ki kahani 1900 ke
dasak me mahilaon ke shoshan dhokhadhadi or sangharsh ki kahani hai ! Gauhar
jaan ki kahaani ko Vikram sanpath ne apne saalo ki research ke baad apni kitaab
“My Name Is Gauhar Jaan” ke naam se sabke saamne laaye !
Gauhar Jaan ne 600 se jyada gaane record kiye
Gauhar jaan ne lagbhag 20 bhashaon me Thumri se lekar BHajan
tak gaaye hai unhone lagbhag 600 Geet record kiye the , gauhar jaan south india
ki pahli mahila gaayika thi jinke gaane sangeet Gramophone company ne record
kiye the! 1902 se 1920 ke bich “The Gramophone Company of India “ ne Gauhar
Jaan ke Hindustani , Bangla, Gujrati, Marathi, Tamil, Arbi, Farsi, Pashto,
Angreji or French Geeton ke 600 Disk nikaale the, dekhte hi dekhte unka dabdaba
itna buland ho gaya ki Riyasaton or Sangeet Sabhaon me unhe bulana pratishtha
ki baat hua karti thi !
Gauhar Jaan ji ki Background Information
Birth Name – Angelina Yeoward
Born – 26 june 1873 Aazamgarh,
UttarPradesh, India
Died – 17 jan 1930 Umr – 56 saal , India
Genres – Ghazal, Thumri, Dadra
Occupation – Musician, Dancer
Years active – 1900 – 1930
*****
Md Danish Ansari